Breathless | Shankar Mahadevan Lyrics Breathless | Shankar Mahadevan Lyrics | BEATS LYRICS

 Breathless | Shankar Mahadevan Lyrics

Koi jo mila to mujhe 

aisa lagta tha jaise 

meri saari duniya main 

geeton ki rut aur 

rangon ki barkha hai 

khushbu ki aandhi hai 

bahki hui si ab 

saari fizaayen hain 

mahki hui si ab 

saari hawaayen hain 

khoyi hui si ab 

saari dishaayen hain 

badli hui se ab 

saari adaayen hain 

jaagi ummengein hain, 

dhadak raha hai dil 

saason main toofaan hain, 

hoton pe nagme hain 

aakhon main sapne hain, 

sapnon main beete hue 

saare vo lamhe hain 

jab koi aaya tha, 

nazron pe chhaya tha 

dil main samaya tha, 

kaise main bataun tumhe 

kaise use paaya tha, 

pyaare se chehre pe 

bikhri jo julphen to 

aisa lagta tha jaise 

kohre ke peechhe ek os 

main dhula hua phool khila hai 

jaise badal main ik 

chaand chhupa hai 

aur jhaank raha hai 

jaise raat ke parde main 

ek savera hai roshan roshan 

aakhon main sapnon ka saagar 

jismain prem sitaron ki chaadar 

jaise jhalak rahi hai 

lahron lahron baat kare to 

jaise moti barse 

jaise kahin chandi ki 

payal goonjey 

jaise kahin sheeshe 

ke jaam girey 

aur chhann se tootey 

jaise koi chhip ke sitaar bajaye 

jaise koi chaandni raat main gaye 

jaise koi hole se paas bulaye 

kaisi meethi baatain thee 

vo kaisi mulakaatein thee 

vo jab maine jaana tha 

nazron se kaise pighalte hain dil 

aur aarzoo paati hai kaise manzil 

aur kaise utarta hai chaand jameen par 

kaise kabhi lagta hai swarg agar hai 

to bas hai yahin par 

usne banaya mujhe, 

aur samjhaya mujhe 

hum jo mile hain, 

hamain aise hi milna tha 

gul jo khile hain, 

unhe aise hi khilna tha 

janmo ke bandhan, 

janmo ke rishtey hain 

jab bhi hum janme to 

hum yahin milte hain 

kaanon main mere jaise, 

shahed sa ghulne lage 

khwaabon ke dar jaise 

aakhon main khulne lage 

khwaabon ki duniya bhi 

kitni haseen aur 

kaisi rangeen thee 

khwaabon ki duniya 

jo kahne ko thee par 

kahin bhi nahi thee 

khwaab jo toote mere, 

aakh jo khuli meri 

hosh jo aaya mujhe 

maine dekha maine jaana 

vo jo kabhi aaya tha, 

nazron pe chhaya tha 

dil main samaya tha, 

ja bhi chuka hai 

aur dil mera ab hai tanha tanha 

na to koi armaan hai,

 na koi tamanna hai 

aur na koi sapna hai 

ab jo mere din aur ab 

jo meri ratain hain 

unmain sirf aansoon hain 

unmain seif dard ki 

ranj ki batain hain 

aur pharyaadein hain 

mera ab bhi koi nahi 

main hoon aur khoye 

hue pyaar ki yaadein hain (3) 


ab jo mere din aur 

ab jo meri raatein hain 

unmein sirf aasun hain 

unmein sirf dard ki 

ranj ki baatein 

aur faryadein hain mera 

ab koi nahin main hoon aur 

khoye hue pyaar ki yaadein

doob gaya hai dil 

gham ke andhare main 

meri saari duniya hai 

dard ke ghere main

mere saare geet 

dhale aahon main 

banke deewana ab 

yahan wahan firta hoon

thokar khata hoon 

un rahaon main

jahan use dekha tha 

jahan use chaha tha

jahan main hasa tha 

aur badmein roya tha

jahan use paya tha 

pake khoya tha

jahan kabhi fulon ke 

kaliyo ke saaye the

rangeen rangeen mehki 

rut main har ek kadam 

pe ras rachaye the

gulshan gulshan din 

main ujale the

jag mag jag mag 

noor tha raaton main

jhil mil jhil mil 

jahan maine khabon 

ki dekhi thi manjil 

jahan meri kashti ne paya tha sahil 

jahan maine payai palkhon ke chhav

jahan meri bahon main nikhalti 

kisi ki mari mari bahein 

jahan ek chehre se hatti 

nahi thi meri nigahein

jahan kal narmi narmi hi thi 

pyar hi payaar hi tha hathon haththe 

jahan kal gaye the prem tarane

jahan kal dekhe the sapne sunahne

kisi ko sunaye the dil ke fasane

jahan kal khayi thi jeene ki 

marne ki kasme todi thi 

duniya ki saari rasmein

jahan kal barsa tha prit ka badal 

jahan maine thama tha koi aachal

jahan pehli baar mein hua tha pagal 

ab uun rahon mein koi nahi 

hai ab hai woh rahe viran viran 

dil bhi jaise hairan hairan 

jaane kaha gaya mera sapno ka mela 

aise hoi khayalo mein khoya khoya 

ghum raha tha mein kabse akela

chamka sitara jaise koi gagan mein 

gunji ghata mere ghar aangan mein 

kisi ne pukara mujhe mud ke jo dekha 

maine mil gaya khoya hua dil ka 

sahara mujhe jise maine chaha tha 

jise maine puja tha 

lot ke aaya hai thoda sharminda 

thoda ghabraya hai

zulf pareshan kapte hout 

aur bheegi hui ankhen

dekh raha mujhe gum sum gum sum 

uski nazar jaise puch rahi hai 

itna toh bata do 

kahi khafa toh nahi tum 

pyaar jo dakhi phir meri nigahoon

mein agle hi pal tha woh 

meri inn bahon mein 

bhool gaya mera dil jaise har gham 

badal gaya jaise duniya ka mausam

jhome nazare aur jhumi fizaien aur 

jhome the mann aur jhumi hawaein 

jaise phir gaane lagi saari dishayen 

kitni hasi hai kitni suhani

hum dono ki prem kahani

hum dono ki prem kahani

hum dono ki prem kahani

Previous Post Next Post